Nandi Panchgavya Monthly Subscription:

24/7 Support 7434000639

Nandi Panchgavya Monthly Subscription:

Blogs

Gaaye ki Aatmkatha

Purvajon ne aap ke hamesha mera mahatva janaa hai,kareeb rakh kar mujhe jeevan ka, aham hissa manaa hai.

Zyada baatein nahi karungi bas itna batlana hai, saalon se hoon gaon mein main ab mujhe bhi shaher mein aana hai.

Tabele gau-shalaa se baahar nikal ke har ghar pyaar pahochana hai, gaay manushya sadiyon ke saathi iss parampara ko nibhana hai.

Paropkaar mein vyathit kar diya poora jeevan maine apna, phir bhi khud se door kar diya dikha naa aap ko mera tadapna.

Maana door hoon aap se par itni bhi door nahin, khayaal rakhna kartavya hai mera aap ki tarah majboor nahin.

Subah subah ki chaai hoon main ghee butter aur malaai hoon main, cheesy pizza ka taste hai mujh se lassi aap ki best hai mujh se.

Coffee mujh se mithaai mujh se ayurveda ki dawaai mujh se, khetiwaadi khaad mein main phir kyun nahi aap ki yaad mein main!

Indhan ban ke hawan mein hoon main swastha aur shuddh pawan mein hoon main, dharti ke kan kan mein hoon main subah shaam jeevan mein hoon main.

Rooth gai jo main tum se to ro ro kar pachhtaoge, aane wali peedhi ko tum kuch bhi naa de paoge.

Hoti hai galtiyaan bachchon se magar maa ka farz hai maaf karna, mere saare goon nyauchhavar aap pe ho sake to mera insaaf karna.

Mahalon mein tum sote rahe Kabhi mera dard naa jana hai, gau-shalaa ke agale mod pe qatalkhana poorana hai.

Saansein darr ke saaye mein zindagi jaise ek dhokha hai, aa kar bacha lo maa ko apni kudrat ne diya jo mauka hai, kudrat ne diya jo mauka hai.
 

Join the NANDI MOVEMENT

×
×